Sunday, November 18, 2012

Main nashe main hoon - Jagjit Singh


Thukhrao ab ki pyaar karo, main nashe main hoon

Joh Chaiye ab yeh mere yaar karo,

Main nashe main hoon;


Abh Abhi dila raha hoon, yakeene waha magar

Mera na aetbaar karo,

Main nashe main hoon;


Gir ne do tum mujhe, mera sagar sambhal lo,

Itna toh mere yaar karo,

Main nashe main hoon;


mujko kadam kadam pe, bhatakne do aaezo,

Tum apna karobar karo,

Main Nashe main hoon;


Fir bekhudi main hadd se guzarne laga hoon main,

Itna na mujh se pyaar karo,

Main Nashe main hoon.



Tuesday, September 27, 2011

Yeh Aaine Se Akele Main (Kaash) Hariharan

Yeh Aaine se akele main guftagu kya hai

Joh main nahi toh teri rubaru kya hai

Issi umeed pe kaati hai Zindagi maine

Issi umeed pe kaati hai Zindagi maine

woh kaash poochte mujhse ke aarzu kya hai

woh kaash poochte mujhse ke aarzu kya hai

Joh main nahi hoon toh teri rubaru kya hai

Yeh Aaine se akele main guftagu kya hai

Yeh Range Gul yeh shafakul aur ye Taaveshe anjum

Yeh Range Gul yeh shafakul aur ye Taaveshe anjum

tera jamal nahin hai toh charsu kya hai

tera jamal nahin hai toh charsu kya hai

Joh main nahi hoon toh teri rubaru kya hai

Yeh Aaine se akele main guftagu kya hai

Kyun unke saamne tum dil ki baat karte ho

Kyun unke saamne tum dil ki baat karte ho

Joh khud samajte nahin dil ki aabru kya hain

Joh khud samajte nahin dil ki aabru kya hain

Joh main nahi hoon toh teri rubaru kya hai

Yeh Aaine se akele main guftagu kya hai

guftagu kya hai guftagu kya hai

Yeh Aaine se akele main guftagu kya hai

Ab Ke Baras Bhi Reh Gaye Pyaase (Kaash) Hariharan

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase,

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase

Aag lage iss sawan ko,

Aisi lagi birha ki agni

Aisi lagi birha ki agni

Jisne jalaya tan man ko

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase

Aag lage iss sawan ko

Duniya se kya karte shikayat laaye na shikva lab tak hum

Apne hi daman ki viraani karte gavara kab tak hum

Phool na the toh rakhli kaaante

Phool na the toh rakhli kaaante

Aise sajaaya daaman ko

Aisi lagi biraha ki agni

Jisne jalaya tan man ko

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase

Aag lage iss sawan ko

Kitni hi gum ki raat ho kaali, hoti hai aakhir uski saheli

Nafrat se o dekhnewale iski bhi hai kuch tujhko khabar

iski bhi hai kuch tujhko khabar

Pyar main hai taasir kuch aisi

Pyar main hai taasir kuch aisi

Dost bana de dushman ko

Aisi lagi biraha ki agni

Jisne jalaya tan man ko

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase

Aag lage iss sawan ko

Lafso main hum dard samate, itni kaha thi apni majaal

Daad sukhan kyon dete hai humko ismain nahi kuch apna kamal

uski karo tarif ki jiske

uski karo tarif ki jiske

gum ne nikhara hai funn ko

Aisi lagi biraha ki agni

Jisne jalaya tan man ko

Ab ke baras bhi reh gaye pyaase

Aag lage iss sawan ko